Wednesday, June 21, 2006

Naya Itihaas


Itihaas Ki Parikcha thi Us Din
Chinta Se Hiridye Dhadakta Tha
Jub Se Jagi Tub Se
Baayan Nain Fadakta Tha..

Jo Utter Maine Yaad kiye
Usmein Se Aadhe Hi Yaad Hue
Wo Bhi School pahunchne Tak
Yaadon mein Hi Barbaad Hue..

Parche Par Jub Meri Nazer Padi
To Sare Badan Par Pasina Tha
Phie bhi Parchon Se Nahi Dara
Ye Mera Hi Sina Tha..

Copy Ke Bargad Par Maine
Bus Kalam kulhadi De Mari
Ghante Bhar Ke Bhitar
Kar Daala Prasnon Ka Wara-Nyaara..

Akbar Ka Beta Tha Babar
Jo Waauyaan Se Aaya Tha
Usne Hi Hind Mahasagar Ko
America Se Mangwaya Tha..

Gautam Jo Hue Buddh Ja Kar
Gandhi Jee KE Chele The
Dono Bachpan Mein Nehru
Ke Sang Aankhmichuli khele The..

Hotel Ka Malik Tha Aashok
Jo Tajmahal Mein Rahta Tha
O Angrejon Bharat Choro
Lal Kile Se Kahta Tha..

Jhansa De Jati Thi Sub Ko
Aisi Thi Jhansi Ki Rani
Aksar Ashok Ke Hotel Mein
Khaya Krti Thi Biryani..

Aise Hi Chun-Chun Kar Maine
Prasnon Ke Papad Bell Diye
Utter Ke Ye Unche Parwat
Teacher Ki Oor Dhakel Diye..

Teacher Jee Bechare Bhala
Ye Sub Kya Samajh Pate
Lachar Purane Chsmen Se
Naya Itihaas Kya Padh Pate..

Aise Mein Unke Bus Ke Bahar
Mere Itihaas Ka Bhugol Hua
Aur Aub Kya Hona Tha
Mera Number To Gol Hua...

5 comments:

Unknown said...

MAst hai.... It's different.. after a longtime read smthng like this...:)

Adhiti Raman said...
This comment has been removed by a blog administrator.
S B JOSHI said...

This poem I was searching for as I liked it during my school days, some where late 70s or early 80s. Can someone help me with Poets Name??

AmitK said...
This comment has been removed by a blog administrator.
Anonymous said...

awsm poem