Wednesday, October 26, 2005

HAASIL


Kal Raat Fhir Chand Ko Dekha
Taron Se Bhare Aasmaan Ko Dekha
Par Na Jane Kyon
Aasmaan Tha Kuch Fika-Fika
Chupchap Gumsum Saa
Lag Raha Tha Kuch Mayoush Saa
Bilkul Meri Tarah Hi Tha
Wo Bhi Kuch Kuch Tanha Saa
Roshani Ki Shaher Men Bikhre
Andheron Ko Dekha Hai Main Ne
Aasmaan Ki Tanhaai Ko Khud
Par Mahsus Kiya Hai Main Ne
Tanha Tanha Sa Aasmaan
Tanha Si Kuch Main Bhi
Roshani Ke Shaher Men
Chitke Andheron Men Kuch Gum Si
Na Jane Kis Kshturi Ke
Gandh Ko Main Talashti
Ek Andekhi Anjani
Parchain Si Main Bhagti
Aaj Khadi Hun Us Moor Par
Jahan Mit Chuki Hain Sari Khwahishen
Khatam Ho Chuki Hain Sari Umangen
Aur Ho Gayi Hun Mai Bhi Aaj
Aasmaan Ki Tarah Hi shunya Si
Par Ek Sawal AajBhi Hai Dil
Ki Kya Yahi Meri Jindagi Ka Haasil Tha???

Tuesday, August 02, 2005

Door Nahi Mujh Se


Chiteej kyon door hai mujhse
Wayoom kyon door hai mujhse
Kal tak to ye the mere apne
Ban gaye wo kyon aaj sapne
Palchin ban ye pal pal
Tadpate mujhe har pal
Wo wade erade ,
Ganga teer ki meethi baaten.
Jane kahan gum ho gayi wo raaten.
Har raat dil ke weeraan kone me
Chitak aati hai yaadon ki sunahri chandni
Kar jati hai har din udwaylit,
Un meethi yaadon ki roshni
Apni muttiyon me ban kar lena chahti hun
Un lamhon ko,par rate ki tarah fhisal jate hain
Wo lanhen meri band muttiyon se ,
Lalak hai Aakash ko chune ki
Lekin wo mujh se bahot door hai
Par kal to na thi ye dooriyan
Phir hua kya aisa ki pass aake hum door ho gaye
Ek duje se naa milne ko majboor ho gaye
Aub to koi kare koi upaye
Mere wayoom se mujhe milaye
Aakhir kub tak meri bahon sedoor
khud me magrur rahe ga aakash
Ek din jarur chayega
meri jindagi men khushion ka prakash
tab kahungi mai,
"Chiteej Aub Door Nahi Mujhse
Wayoom Aub Door Nahi Mujhse"

Dahej Ki Aag


Ladki ke kad ka jara sa badhna
Kitni nazaron ko chubh jata hai.
Bachpan se lekar Budhape tak ka safar
Isi chubhn ke sahere kitna jaldi kat jata hai!!

Hosh sambhala nahi ki tumhen
Tumhari seema dahlij batai jayengi.
Yaad rakho ki tum ladki ho
Praaya dhan ho,
Mayeke se sasural tak ka safar hi
tumhari seema hai.
Mayeke se doli aur
Sasural se arthi hi uthti hai!!

Par bhool jate hain wo ye kahna
Sapna sanjo kar sasural jana aur.
Haath ki hina sukhne se pahle
Dahej ki aag me jalna tumhari neeyati hai!!

Monday, August 01, 2005

Pahli Barf


Pahli barf aaj giri sardiyon ki pahli barf.
Saath hi thi ye meri zindagi ki pahli barf.
Al subah uth kar jub chaha dekhna maine
narm sardiyon ki dhoop ko,par khidkiyon se
parde hatae hi dekhi maine apni zindagi ki pahli barf.
Pahli barf aaj giri sardiyon ki pahli barf.

Wo barf ke fhahe the ya faili thi narm ujli chandni
shwet shyam ho gaya tha jug sara,
Chatakh rangon ne tanli thi safed barf ki chadren.
Ujle ujle barf ke fahe ,dheeme dheeme barste fahe
Dheere se mere kano me kah uthe aa kar chumo mujhe,
mutthiyon me bhar kar le chalo apne ghar mujhe.

Par jub hole se chua maine ek fahe ko
to wo sherma kar ho gaya pani pani.
Ghabra kar mai ne jub apna haanth khicha,
to hans uthi barf ki bikhri chandni.
Pahli barf aaj giri sardiyon ki pahli barf...
Pahli barf aaj dekhi maine zindagi ki pahli barf.

Zindagi


Kuch seedhiyan bina gine chadh jao
Kuch panne bin padhe palat jao
Tum samajh jaoge mere yaar
ki jindagi bhi kuch aisi hi hai
Jise hum bina gine, bina pahe
plat jate hai.
Jis tarah ganit ke kisi prashn
ka hal hum pa to lete hai
Par tarika galat ho tha hai
usi tarah Zindagi hum jee to
lete hai .
Magar salika galat hota hai .

Yaaden


Tumhare sath gujare un lamhon ki yaaden
Aaj phir in wadion me kheech lai hain
Nazeren bhi wahi hain aur najare bhi wahi
Nahi ho to bus tum, Tumhen un waadon
Wafaon ki kasam, Bus ek baar ek pal keliye
chale aao,us pal me tamam umer ji jayen ge hum.

Teri khushbu


Chand hatheliyon me tha tera chehra ban kar .
Teri saanson ki khushbu mere aashpas thi.
Sham utthi thi baarat fulon ki.
Maheki - maheki si sari raat thi.
Juhi ki kali si teri yaaden .
Sare safar me mere saath thi.
Aaj shbad bhi mahek rahe hai.
Tujhe khat likhte hue...........

Pehle pyar ki kahani


Rah jati hai her baar
baat koi adhoori,
Bus dil me dabi
rah jati hai ek chingari,
Bbante bante rah jati hai
"adhoori" ek kahani,
Kisi ki yadonme sisakte hue
gujer jati hai sari jindgani,
Bus yahi to hai pahle payar
ki choti si kahani....