Wednesday, June 21, 2006

Naya Itihaas


Itihaas Ki Parikcha thi Us Din
Chinta Se Hiridye Dhadakta Tha
Jub Se Jagi Tub Se
Baayan Nain Fadakta Tha..

Jo Utter Maine Yaad kiye
Usmein Se Aadhe Hi Yaad Hue
Wo Bhi School pahunchne Tak
Yaadon mein Hi Barbaad Hue..

Parche Par Jub Meri Nazer Padi
To Sare Badan Par Pasina Tha
Phie bhi Parchon Se Nahi Dara
Ye Mera Hi Sina Tha..

Copy Ke Bargad Par Maine
Bus Kalam kulhadi De Mari
Ghante Bhar Ke Bhitar
Kar Daala Prasnon Ka Wara-Nyaara..

Akbar Ka Beta Tha Babar
Jo Waauyaan Se Aaya Tha
Usne Hi Hind Mahasagar Ko
America Se Mangwaya Tha..

Gautam Jo Hue Buddh Ja Kar
Gandhi Jee KE Chele The
Dono Bachpan Mein Nehru
Ke Sang Aankhmichuli khele The..

Hotel Ka Malik Tha Aashok
Jo Tajmahal Mein Rahta Tha
O Angrejon Bharat Choro
Lal Kile Se Kahta Tha..

Jhansa De Jati Thi Sub Ko
Aisi Thi Jhansi Ki Rani
Aksar Ashok Ke Hotel Mein
Khaya Krti Thi Biryani..

Aise Hi Chun-Chun Kar Maine
Prasnon Ke Papad Bell Diye
Utter Ke Ye Unche Parwat
Teacher Ki Oor Dhakel Diye..

Teacher Jee Bechare Bhala
Ye Sub Kya Samajh Pate
Lachar Purane Chsmen Se
Naya Itihaas Kya Padh Pate..

Aise Mein Unke Bus Ke Bahar
Mere Itihaas Ka Bhugol Hua
Aur Aub Kya Hona Tha
Mera Number To Gol Hua...

Bhaawnaye


Aankhon Ka Khalipan
Kuch Aur Gahra Ho Gaya
Mujh Tak Pahunchte-Pahunchte
Rasta Kahin Kho Gaya..

Meri Tanhaiyan
Kuch Aur Gahri Ho Gayin
Rishton Ke Parchayian
Mere Dukon Me Wileen Ho Gayin..

Par Mere Dukh,Meri Zindagi
Meri Shaksiyat Par Haawi Na Ho Sake
Tamam Mushkilaton Ke Waabjud
Meri Wo Komal Bhawnaye Hi
Meri Rahon Ko Roshan Kar Gaye..

Monday, June 19, 2006

Zindagi -2


Insaan Ki Bebasi Ki
Kahani Hai Zindagi
Aaye Na Samajh
Aisi Zindagani hai Zindagi
Samjhoge Jubtak Isko
Aaadhi Gujar Jayegi Zindagi
Baki Bachi To
Yaadon Ke Saaye Men
Gujar Jayegi Zindagi
Kahne Ko To
Chaar Din Ki Hai Zindagi
Par In Chaar Dinon Men
Chaar Raahon Se
Gujar Jayegi Ye Zindagi
Laane Ko To Kai Rang
Lati Hai Zindagi
Lekin Khud Jaye To
Fir Laoot Kar Nahi Aati Hai Zindagi...