Wednesday, October 26, 2005

HAASIL


Kal Raat Fhir Chand Ko Dekha
Taron Se Bhare Aasmaan Ko Dekha
Par Na Jane Kyon
Aasmaan Tha Kuch Fika-Fika
Chupchap Gumsum Saa
Lag Raha Tha Kuch Mayoush Saa
Bilkul Meri Tarah Hi Tha
Wo Bhi Kuch Kuch Tanha Saa
Roshani Ki Shaher Men Bikhre
Andheron Ko Dekha Hai Main Ne
Aasmaan Ki Tanhaai Ko Khud
Par Mahsus Kiya Hai Main Ne
Tanha Tanha Sa Aasmaan
Tanha Si Kuch Main Bhi
Roshani Ke Shaher Men
Chitke Andheron Men Kuch Gum Si
Na Jane Kis Kshturi Ke
Gandh Ko Main Talashti
Ek Andekhi Anjani
Parchain Si Main Bhagti
Aaj Khadi Hun Us Moor Par
Jahan Mit Chuki Hain Sari Khwahishen
Khatam Ho Chuki Hain Sari Umangen
Aur Ho Gayi Hun Mai Bhi Aaj
Aasmaan Ki Tarah Hi shunya Si
Par Ek Sawal AajBhi Hai Dil
Ki Kya Yahi Meri Jindagi Ka Haasil Tha???