Thursday, July 24, 2014

Meri Tanhaiyan!!



Mere gum ki is jahan men koi dawa hi nahi.
In tanhaiyon ke siwa aub kuch rakha hi nahi.
Dard hai dil men aur aanken bhi hai nam.
Par sambhale humen aisa koi mila hi nahi.
Khuda khuda kar ke na jane kitne kiye sajde humne .
Mandir maszid aur dargahon pe charche kiye humne.
Par Na khuda hi mila humen na dua hi mili.
Mere gum ki is jahan mein koi dawa hi nahi.
Rafta rafta yunhin zindagi nikalti gayi,
Ruswaiya teri humen bus chalti gayin.
Teri is berukhi ki humen koi wajah na mili.
Zinda hoke bhi kabhi zindagi ji hi nahi.
Aub to lagta hai maut hi saccha sathi mera.
Daman jo pakkarega wo mera na kabhi chorega.
Zindagi aur maaut ka faasla aub kum ho hai chala.
Mere gum ki is jahan me koi dawa hi nahi.
In tanhaiyon ke siwa kuch bacha hi nahi.


Thursday, February 05, 2009

Nisha


Ek Ajab si Kashish Hai In Raat Ki Tanhaiyon Mein,

Ek Anokhi Madhoshi Hai Nisha Ki Khamoshiyon Mein.

Chahata Hai Dil Mera Duba Rahe Wo Uhin In Gagraiyon Mein.

Kyonki In Raat Ki Chararon Ke Piche Mere Jivan Ka Satya Chupa Hai,

Nisha Ki In Khamoshiyon Ne Mere Armanon Ka Kafan Buna Hai.


Par Kio Gila Shikwa Nahi Hai In Raaton Se,

Kyonki In Raaton Ne Hi To Mujhe

Mere Gamon Se Ladne Ka Haosla Diya Hai.

To Kyon Karun Mai Nafrat In Khamosh Gumnam Raaton Se?

In Raaton Mehi To Maine Sapnon ki Duniyan Buni Hai.

Aah Kya Gajab Ka Nasha Hai Raat Ki Is Bekhudi Mein,

Jo Liye Ja Rahi Hai Mujhe Aagosh Men Aapnen.


Par Aub In Tanhan Raaton Ki Doli Jane Wali Hai

Kyonki subah ki Pahli Kiran ,

Nisha Ka Darwaja Katkhtane wali Hai.

Aikasha Koi Rok Pata in Khamosh Raaton Ko,

Aur Khoi Rahti Uhi Mai Apne Aatit ki Parchaiyon Mein.

Yaadein


Khatm Na Hone Wale Safar Ki Tarah,

Her Gujarne Wale Pal Ki Tarah,

Is Brahmand Me Faile Sunya Ki Tarah,

Kabhi Na Galne Wale Himkan Ki Tarah,

Chand Ko Chune Ki Tammana

Rakhne Wale Maan Ki Tarah,

Sager Me Uthti-Girti Bechain Lahron Ki Tarah,

Aisi Hai Yaadein Teri,

Jo Chai Rahti Hain Har Waqt Nigahon ke Aage Meri.

Monday, February 02, 2009

Rimjhim Sawan


Baras Raha Hai Rimjhmi Sawan
Gila-Gila Sa Hai Kuch Ye Maan
Kuch Biti Baate Kuch Bhuli Raaten
Nayeno Men Umar Padi Hain,
Ban Ke Barsaten.
Sambhalun Kaise Main ,
Baware Is Maan Ko
Jo Chalak Pada Hai Ban Ke Aaj Sawan.
Badalon Ka Ghar Hai,Bundon Ki Mahfil Hai
Tanhaiyon Ka Mausam Hai ,Yaadon Ka Safar hai,
Jo Machal Utha Hai Aaj Barish Ban Ke.
Un Bite Lamhon Ki Mitthi Yaaden,
Sawan Ke Rut Ki Wo Sondhi Khushbu,
Achanak Hi Tarotaja Kar Gayi ,
Aaj Mere Is Sune Maan Ko.
Aub Bhi Baras Raha Hai Rimjhim Sawan ,
Par Gila-Gila Sa Nahi Aub Ye Maan.


Wednesday, June 21, 2006

Naya Itihaas


Itihaas Ki Parikcha thi Us Din
Chinta Se Hiridye Dhadakta Tha
Jub Se Jagi Tub Se
Baayan Nain Fadakta Tha..

Jo Utter Maine Yaad kiye
Usmein Se Aadhe Hi Yaad Hue
Wo Bhi School pahunchne Tak
Yaadon mein Hi Barbaad Hue..

Parche Par Jub Meri Nazer Padi
To Sare Badan Par Pasina Tha
Phie bhi Parchon Se Nahi Dara
Ye Mera Hi Sina Tha..

Copy Ke Bargad Par Maine
Bus Kalam kulhadi De Mari
Ghante Bhar Ke Bhitar
Kar Daala Prasnon Ka Wara-Nyaara..

Akbar Ka Beta Tha Babar
Jo Waauyaan Se Aaya Tha
Usne Hi Hind Mahasagar Ko
America Se Mangwaya Tha..

Gautam Jo Hue Buddh Ja Kar
Gandhi Jee KE Chele The
Dono Bachpan Mein Nehru
Ke Sang Aankhmichuli khele The..

Hotel Ka Malik Tha Aashok
Jo Tajmahal Mein Rahta Tha
O Angrejon Bharat Choro
Lal Kile Se Kahta Tha..

Jhansa De Jati Thi Sub Ko
Aisi Thi Jhansi Ki Rani
Aksar Ashok Ke Hotel Mein
Khaya Krti Thi Biryani..

Aise Hi Chun-Chun Kar Maine
Prasnon Ke Papad Bell Diye
Utter Ke Ye Unche Parwat
Teacher Ki Oor Dhakel Diye..

Teacher Jee Bechare Bhala
Ye Sub Kya Samajh Pate
Lachar Purane Chsmen Se
Naya Itihaas Kya Padh Pate..

Aise Mein Unke Bus Ke Bahar
Mere Itihaas Ka Bhugol Hua
Aur Aub Kya Hona Tha
Mera Number To Gol Hua...

Bhaawnaye


Aankhon Ka Khalipan
Kuch Aur Gahra Ho Gaya
Mujh Tak Pahunchte-Pahunchte
Rasta Kahin Kho Gaya..

Meri Tanhaiyan
Kuch Aur Gahri Ho Gayin
Rishton Ke Parchayian
Mere Dukon Me Wileen Ho Gayin..

Par Mere Dukh,Meri Zindagi
Meri Shaksiyat Par Haawi Na Ho Sake
Tamam Mushkilaton Ke Waabjud
Meri Wo Komal Bhawnaye Hi
Meri Rahon Ko Roshan Kar Gaye..

Monday, June 19, 2006

Zindagi -2


Insaan Ki Bebasi Ki
Kahani Hai Zindagi
Aaye Na Samajh
Aisi Zindagani hai Zindagi
Samjhoge Jubtak Isko
Aaadhi Gujar Jayegi Zindagi
Baki Bachi To
Yaadon Ke Saaye Men
Gujar Jayegi Zindagi
Kahne Ko To
Chaar Din Ki Hai Zindagi
Par In Chaar Dinon Men
Chaar Raahon Se
Gujar Jayegi Ye Zindagi
Laane Ko To Kai Rang
Lati Hai Zindagi
Lekin Khud Jaye To
Fir Laoot Kar Nahi Aati Hai Zindagi...

Wednesday, October 26, 2005

HAASIL


Kal Raat Fhir Chand Ko Dekha
Taron Se Bhare Aasmaan Ko Dekha
Par Na Jane Kyon
Aasmaan Tha Kuch Fika-Fika
Chupchap Gumsum Saa
Lag Raha Tha Kuch Mayoush Saa
Bilkul Meri Tarah Hi Tha
Wo Bhi Kuch Kuch Tanha Saa
Roshani Ki Shaher Men Bikhre
Andheron Ko Dekha Hai Main Ne
Aasmaan Ki Tanhaai Ko Khud
Par Mahsus Kiya Hai Main Ne
Tanha Tanha Sa Aasmaan
Tanha Si Kuch Main Bhi
Roshani Ke Shaher Men
Chitke Andheron Men Kuch Gum Si
Na Jane Kis Kshturi Ke
Gandh Ko Main Talashti
Ek Andekhi Anjani
Parchain Si Main Bhagti
Aaj Khadi Hun Us Moor Par
Jahan Mit Chuki Hain Sari Khwahishen
Khatam Ho Chuki Hain Sari Umangen
Aur Ho Gayi Hun Mai Bhi Aaj
Aasmaan Ki Tarah Hi shunya Si
Par Ek Sawal AajBhi Hai Dil
Ki Kya Yahi Meri Jindagi Ka Haasil Tha???

Tuesday, August 02, 2005

Door Nahi Mujh Se


Chiteej kyon door hai mujhse
Wayoom kyon door hai mujhse
Kal tak to ye the mere apne
Ban gaye wo kyon aaj sapne
Palchin ban ye pal pal
Tadpate mujhe har pal
Wo wade erade ,
Ganga teer ki meethi baaten.
Jane kahan gum ho gayi wo raaten.
Har raat dil ke weeraan kone me
Chitak aati hai yaadon ki sunahri chandni
Kar jati hai har din udwaylit,
Un meethi yaadon ki roshni
Apni muttiyon me ban kar lena chahti hun
Un lamhon ko,par rate ki tarah fhisal jate hain
Wo lanhen meri band muttiyon se ,
Lalak hai Aakash ko chune ki
Lekin wo mujh se bahot door hai
Par kal to na thi ye dooriyan
Phir hua kya aisa ki pass aake hum door ho gaye
Ek duje se naa milne ko majboor ho gaye
Aub to koi kare koi upaye
Mere wayoom se mujhe milaye
Aakhir kub tak meri bahon sedoor
khud me magrur rahe ga aakash
Ek din jarur chayega
meri jindagi men khushion ka prakash
tab kahungi mai,
"Chiteej Aub Door Nahi Mujhse
Wayoom Aub Door Nahi Mujhse"

Dahej Ki Aag


Ladki ke kad ka jara sa badhna
Kitni nazaron ko chubh jata hai.
Bachpan se lekar Budhape tak ka safar
Isi chubhn ke sahere kitna jaldi kat jata hai!!

Hosh sambhala nahi ki tumhen
Tumhari seema dahlij batai jayengi.
Yaad rakho ki tum ladki ho
Praaya dhan ho,
Mayeke se sasural tak ka safar hi
tumhari seema hai.
Mayeke se doli aur
Sasural se arthi hi uthti hai!!

Par bhool jate hain wo ye kahna
Sapna sanjo kar sasural jana aur.
Haath ki hina sukhne se pahle
Dahej ki aag me jalna tumhari neeyati hai!!