Monday, August 01, 2005

Pahli Barf


Pahli barf aaj giri sardiyon ki pahli barf.
Saath hi thi ye meri zindagi ki pahli barf.
Al subah uth kar jub chaha dekhna maine
narm sardiyon ki dhoop ko,par khidkiyon se
parde hatae hi dekhi maine apni zindagi ki pahli barf.
Pahli barf aaj giri sardiyon ki pahli barf.

Wo barf ke fhahe the ya faili thi narm ujli chandni
shwet shyam ho gaya tha jug sara,
Chatakh rangon ne tanli thi safed barf ki chadren.
Ujle ujle barf ke fahe ,dheeme dheeme barste fahe
Dheere se mere kano me kah uthe aa kar chumo mujhe,
mutthiyon me bhar kar le chalo apne ghar mujhe.

Par jub hole se chua maine ek fahe ko
to wo sherma kar ho gaya pani pani.
Ghabra kar mai ne jub apna haanth khicha,
to hans uthi barf ki bikhri chandni.
Pahli barf aaj giri sardiyon ki pahli barf...
Pahli barf aaj dekhi maine zindagi ki pahli barf.

1 comment:

Anonymous said...

grt dear......keep it up n keep on adding.....